Showing posts with label Romantic SMS. Show all posts
Showing posts with label Romantic SMS. Show all posts

Saturday, June 1, 2013

Badla Hai Mausam

Badla Hai Mausam Aur Thand Ho Gayi Hai
Aapko Yaad Kiye Bina Life Adhoori Ho Gyi Hai
Kya Bhula Diya Humein Ya Mobile Mein
SMS Pack Scheme Hi Band Ho Gyi Hai?

Thursday, February 11, 2010

Hamein tum se mohabbat hai, hamara imtihaan le lo,

Hamein tum se mohabbat hai, hamara imtihaan le lo,

Agar chaho to dil le lo, agar chaho to jaan le lo.

Hamein tum bhool mat jaana, ye ik faryaad karte hein,

Wafa ki shart se bhi hum tumein, azaad karte hein,

Zubaan bhi hum na kholeinge, yeh tum hum se zubaan le lo.

Hum apni jaan de kar bhi, mohabbat ka bharam rakh lein,

Tumhare dil pe koi bhojh ho, to sar pe hum rakh lein,

Khizaan ke ghum hamein de do, bahaaron ka sama le lo.

Zamaana kuchh nahin hai, sirf ik rangeen dhoka hai,

Tumhare pyaar pe lekin, hamein poora bharosa hai,

Zara si dil mein bas de do, jagah, saara jhaan le lo.

Hamein tum se mohabbat hai, hamara imtihaan le lo.(mkm)

whn u get dis sms send it to one person u love,

whn u get dis sms send it to one person u love,
one u hate,one u always thnk of &
one u wish 2 kill..now keep
guessin y i sent it to U.

Milna Bicharna Sb Qismat Ka Khel Hai,
Kahin Nafrat Kahin Dilon Ka Mail Hai,
Bik Jata He Hr Rishta Duniya Me,
Sirf Dost Hi Yahan “NOT for SALE” Hai

majnu ko laila ka sms naheen aaya,
majnu ne 3 din se khana naheen khaya majnu marne wala tha
laila ke piyar main aur laila bethee
thi sms free honeke intizaar main.

Na hum khafa hen tum se meri jaan
Na koi faryad karte hai
Hum Sms bheje ya na bheje
Ye jan lo tum Hum tumhen har pal YAAD karte hai

Na mila dil ka qadardaan is zamanay main,
Yeh sheesha toot gaya hai daikhnay aur dekhanay main,
jee main aata hai ek roz shamma say pochoon,
Maza kis main hai, jalnay main ya jalanay main…?

Saturday, February 6, 2010

Pakar tumhe sapne sach lagne lage

Pakar tumhe sapne sach lagne lage
ajnabi se the jo kabhi aaj apne lagne lage
hota nahin yakin khud ki kismat par
dhadkane hote bhi woh jaan lagne lage

~~~~~===============******===============~~~~~

Taras gaye apke deedar ko
phir bhi dil aap hi ko yaad karta hai
humse khusnaseeb to apke ghar ka aaina hai
jo har roz apke husn ka deedar karta hai

~~~~~===============******===============~~~~~

Saja kar apni hi aankh hazaar chehron pe
kiya hai maine sada aitbaar chehron pe
main teri bazm me kis - kis se dushmani leta
likha tha naam tera be-shumaar chehron pe

~~~~~===============******===============~~~~~

Thi woh koi ladki ya thi woh koi bala
dil uski khoobsoorti mein toh hai bas dhala
kuch lamho ke deedar ke aage na ye dil chala
jaise hua koi jadoo ya dikhayi kisi ne kala

~~~~~===============******===============~~~~~

Friday, February 5, 2010

Jagaya unhone aisa

Jagaya unhone aisa ki aaj tak so na sake, rulya unhone aisa ki kisi ke samne ro na sake, jane kya baat thi unme, jabse mana unhe tab se kisi ke ho na sake.....

Beete pal wapas la nahi sakte, Sukhe ful wapas khila nahi sakte, kabhi kabhi lagta hai aap hame bhul gaye, par dil kehta hai aap hame bhula nahi sakte.....

Thursday, February 4, 2010

Romantic SMS

Sitare aasmaan main chamkte hain, badal dur se baraste hain, hum bhi kitne nasamajh hain, woh dil main rehte hain aur hum mulkaat ko tarsate hai.....

Yeh yad tumhari ya yado me tum ho, yeh khwab hain tumhare ya khwabo mein tum ho, hum nahi jante hume bas itna bata do, hum jaan hain tumhari ya hamari jaan me tum ho.....

Dil ke kone se ek awaj ati hai, hame har pal apki yaad aati hai, dil puchta hai bar bar humse, jinhe hum yaad karte hai, kya unhe bhi hamari 'Yaad' aati hai.....

Hum wo nahi jo bhul jaya karte hain, hum wo nahi jo nibhaya karte hain, dur rahker milna jara mushkil hai, per ham yad banker hichkiyon me bs jaya karte hain.....

AddThis

Share |